URDU Poet
|
Urdu Poetry
We are group of poetry lovers who are committed to providing you with most unique poetry which is not available anywhere else on the internet. Our content includes, but not limited to; Urdu Poetry, Urdu Books, Urdu Shayari, Urdu SMS and all kinds of Urdu Literature, Love Quotes, and Mobile SMS. URDU POETRY
Mere maula teri janat se judaa lagti hai
Mere maula teri janat se judaa lagti hai, Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai.. Us ne meri Maan ko Ami Jaan kaha to
Pehli baar jab us ne meri maan ko ami jaan kaha to, Mujh ko yu’n mehsoos hua, Apna sab kuch chorr ke jese, Ik lamhe mein, Mera sab kuch us ne apna maan liya hai, Mujh ko sab kuch jaan liya hai.. Aadhi raat ke sanatey mein, Kis ne phone kiya hai mujh ko ?
Aadhi raat ke sanatey mein, Kis ne phone kiya hai mujh ko ? Jane kis ka phone aya hai, Phone utha kar yu’n lagta hai, Us jaanib koi gum’sum, gum’sum, ukhrra ukhrra dheerey dheerey kaamp raha hai, Mehki huyi ik khamoshi hai ghupp khamoshi hai, lekin is khamoshi mein bhi goonj rahe hain, Thandi saansain, barish, aansu, Khamoshi se thak kar us ne saans liya to, Choorri khanki, Uff yeh khann khann…. Ik lamhe mein sarey badan mein phail gayi hai, Tere ilaawa koi nahin hai, Lekin itne barso’n baad…. Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho..
Phir woh campus ki fiza ho, shaam ho, Hath hathon mein tera ho, shaam ho, Khauf ata hai mujhe us waqt se, Raasta na mil raha ho, shaam ho, Kis qadar be’kaif guzre gi woh shaam, Tu mujhe bhoola hua ho, shaam ho, Kyon na shiddat se mujhe yaad aye gaao’n, Sheher ka banjar’pana ho, shaam ho, Ho rahi ho teri tasveeron se baat, Tera khat khola hua ho, shaam ho, Sardiyaan, barish, hawaa, chaaye ka cup, Woh mujhe yaad aaraha ho, shaam ho, Dard o gham ki dhund mein liptaa hua, Qaafila sa chal para ho, shaam ho, Ya’ilahi aese lamhe se bachaa, Woh kabhi mujh se khafaa ho, shaam ho, Ik yehi khawhish na puri ho saki, Tu kalejey se laga ho, shaam ho.. Ab mera phone kyon uthao ge tum
Ab mera phone kyon uthao ge tum, Ab mera tum ko ehtraam nahin, Ab tumhain mujh se koi kam nahin.. Koi malaal koi aarzoo nahin karta
Koi malaal koi aarzoo nahin karta, Tumhare baad yeh dil guftagu nahin karta, Koi na koi cheez meri toot jati hai, Tumhari yaad se jab bhi wuzu nahin karta..
Jis ko ik baar cherr dain to phir, Chain ka aik pal nahin hota, Koi aljabrey ka sawaal ho tum, Jo kisi taur hall nahin hota.. Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaatay Hain Zindah Lagtay Hain Magar Asal Mein Mar Jaatay Hain Jub Kubhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se TU Kitnay Khanjar Mere Seenay Mein Utar Jaatay Hain Teri Yaadon Ki “Agar Bat’tiyan” Jal Uthtay Hee Hum Tere Dard Ki Khushbouon Se Bhar Jaatay Hain Hum Se Aawaarah Phira Kartay Hain Galyon Mein Kaheen Shaam Hotay Hee “Wasi” Loog Tou Ghar Jaatay Hain |
Search Poetry
Urdu SMS
|